http://www.attitude-status.ml/sitemap.xml?page=1http://www.attitude-status.ml/sitemap.xml?page=2 English Romantic Poetry for lovers | english HD poetry wallpapers collection - Tanveer Malik - Attitude Status | and All Type Poetry

Tanveer Malik - Attitude Status | and All Type Poetry

Urdu Poetry, Urdu Sad Poetry, Urdu Romantic Poetry, Sad Urdu Poetry, Romantic Poetry, Heart Touching Poetry, Love Poetry, New Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Ghazal Poetry, Pashto Poetry, Pashto Sad Poetry, Pashto Romantic Poetry, Sad Pashto Poetry, Romantic Pashto Poetry, Attitude Status, Attitude Status In Hindi and Urdu , ETC

BREAKING NEWS

LightBlog

Breaking

Saturday, July 8, 2017

English Romantic Poetry for lovers | english HD poetry wallpapers collection


LONG GHAZAL FOR SMS TEXT

Soz itna toh navaa mein aaye
uska paighaam hawa mein aaye .!

Misl-e gul ab ke ho wehshat apni 
zakhm ka rang qaba mein aaye .!

Dil mein yun chupke se utra koi 
jaise jibreel “hira” mein aaye .!

Yun achaanak tujhe paaya maine 
jaise taaseer Dua mein aaye .!

Chaand ne jhuk ke sitaaron se kaha
kitne insaan khalaa mein aaye .!

Haadsa zabt ka dushman hai agar 
Hausla ahl-e wafa mein aaye .!

Ab toh labb khol dahan-bastaa mere
zalzala arz-o samaa mein aaye .!

Rogg kya jee ko laga hai ‘Mohsin 
zehar ka naam dawa mein aaye .!!

ENGLISH LOVE SMS GHAZAL TEXT

Sukh ka mausam khayaal-o khwaab hua
saans lena bhi ab azaab hua.

Aankhon-aankhon padha karo jazbe
chehra-chehra khuli kitaab hua.

Kaun maujon mein gholta hai lahoo
surkh’roo kis liye chanaab hua.

Roshni uske aks ki dekho
aaina shab ko aaftaab hua.

Ek falak’naaz ki mohabbat mein 
main hawaaon ka hum-rakaab hua.

Adl-parwar kbhi hisaab toh kar
zulm kis kis pe be-hisaab hua.

Kiske sar par sinaa ko rashk aaya
kaun maqtal mein kaamyaab hua.

Ab ke hijraan ki dhoop mein ‘Mohsin 
rang uska bhi kuchh kharaab hua .!!
❤❤❤❤❤❤
english poetry for facebook, english poetry hd, romantic poetry in english, lovely poetry in english, awesome poetry for lovers in english, poetry for couples in english, love poetry in english, romance poetry, poetry in english for two lovers,

No comments:

Post a Comment