http://www.attitude-status.ml/sitemap.xml?page=1http://www.attitude-status.ml/sitemap.xml?page=2 Dard-bhari urdu Shayari for boys & girls | poetry in urdu | wallpapers collection - Tanveer Malik - Attitude Status | and All Type Poetry

Tanveer Malik - Attitude Status | and All Type Poetry

Urdu Poetry, Urdu Sad Poetry, Urdu Romantic Poetry, Sad Urdu Poetry, Romantic Poetry, Heart Touching Poetry, Love Poetry, New Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Ghazal Poetry, Pashto Poetry, Pashto Sad Poetry, Pashto Romantic Poetry, Sad Pashto Poetry, Romantic Pashto Poetry, Attitude Status, Attitude Status In Hindi and Urdu , ETC

BREAKING NEWS

LightBlog

Breaking

Saturday, July 8, 2017

Dard-bhari urdu Shayari for boys & girls | poetry in urdu | wallpapers collection


DHARD-BHARI POETRY FOR BOYZ

 Sitaray jo chamakte hain…

kisi ki chashm-e-hairan mein

mulaqatain jo hoti hain..???

jamal-e-abr-o-baran mai..

ye na-aabad waqton mai..

dil-e-nashaad mai hongi..

Mohabbat ab nahi hogi..

Ye kuch din baad mai hogi..

Guzer jayenge jab ye din..

YE UNKI YAAD MAI HOGI… 


POETRY IN URDU FOR LOVERS

Mairay jaanay pay aey jaana’n…

Paraishaa’n tum nahee’n hona…

Kabhi chhup ker nahee’n rona…

Judaaii zeher hoti hay…

Mujhay ma’loom hay laikin…

Firaaq-o-hijr ka mausam yaqeenan beet jaaey ga…

Yaqeenan wasl k lamhay…

Dobaara laut aaey’n gay…

Wohi shaamai’n, wohi raatai’n…

Wohi qissay, wohi baatai’n….

Wohi phir daastaa’n ho gi…

Mohabbat meherbaa’n ho gi…

SHAYARI FOR BOYS AND GIRL SMS TEXT

toot kar zara dekho,

tum agar bikhar jao,

bay basi may ghir jao,

dil say ik sada dena,

bus mujay bula lena,

may tumhe sumbha longa,

zindagi may chalnay ka,

rasta badalnay ka,

ik hunar sikha donga,

tumko hosla donga,

or jab,

sambhal jao,

roshni may dhal jao,

mujko yun sila dena,

tum mujay bhula dena…

LOVE SHAYARI TEXT

Hum aksar ye samjhtay hain
jisay hum piyaar kartay hain
usay hum bhool bethay hain
magar aisa nahi hota
muhabbat daaimi sach hai
muhabbat thehar jati hai
hamari baat k andar 
muhabbat beth jati hai
hamari zaat k andar
magar
ye kum nahi hoti
kise bhe dukh ki sorat main
kabhi koe zarorat main
kabhi anjaan se ghum main
kabhi lehjay ki thandak main
udasi ki zarorat main
kabhi barish ki sorat main
hamari aankh k andar
kabhi aab-e-rawan bankar
kabhi qatray ki sorat main
bazaher aisa lagta hai
usay hum bhool bethay hain
magar
aisa nahi hota
magar aisa nahi hota
ye her giz kum nahi hoti
Muhabbat thehar jati hai…
❤❤❤❤❤❤

No comments:

Post a Comment