“Zamany ko jalny do chalo ek sath chalty hain,
“Nayi dunia basany ko chalo ek sath chalty hain,
“Hamain jevan ka har lamha tumhary naam krna hai,
“Yhi waada nibhany ko chalo ek sath chalty hain,
“Suna ha mil kar chalny se muqadr jaag uthty hain?
“yhi baat aazmany ko chalo ek sath chalty hain.
URDU SAD LONG GHAZAL TEXT
Sab se chupa k dard jo woh muskara dia
Us ki aik hasi ne to mujh ko rula dia
Lehje se uth rehi thi har aik dard ki dastan
Aur keh raha tha k sab kuch bhula dia
Awaz mein tehrao tha ankh mein nami thi
Aur chera bata raha tha k sab kuch gunwa dia,
Najane us ko logon se kia thi shekaiten
URDU GHAZALS IN TEXT
Jab Khayalon Me Rukh-e-Yaar Hua Krta He,
Har Taraf MosaM-e-Bahar Hua Krta He,
HuM Teri Yaad Ko Phoolon Se Saja Dete Hain,
Raasta Jitna Bhi Dushwar Hua Krta He,
Yeh Muhabbat Hy Jo Pagal Sa Bana Deti He,
Warna Har Shakhs SaMajhdar Hua Krta He,
Jin Ki Ankhon Me Saji Ho Kisi Mehbob Ki Soorat,
Os Ko Dunia Se Bohat Pyar Hua Krta He,
Jaan-e-Jaan Youn Hi Sulagtay Nhi HuM Raaton Me,
Looh-e-Dil Par Tera Rukhsar Hua Krta He….!
LOVE AND SAD GHAZAL
kiya likhain is kagaz per,
ab likhnay ko kiy baki hey
ik dil tha so wo toot gaya
ab lutnay ko kiya baki hey,
ik shakhs ko humne chaha tha,
kuch rait per naksh banaya tha,
wo rait to kab ki bikhar gaye,
wo nakhs kaha ab baki hey,
ab kiya likhay is kagaz per,
ab likhnay ko kiya baqi hey
wo jin ko hum apni nazmoun ka,
unwan banaya kartay thay,
wo lafzon ka bana kar taj mehal,
kagaz per sajaya kartay thay,
wo hum ko aikala chor gaya,
ab chornay ko kiya baqi hey,
ab kiya likhain is kagaz per,
ab likhnay ko kiya baaqi hey.
BEWAFA GHAZAL TEXT
Teri Hasti Se Teri Zaat Se Khushbu Aaye
Tu Jo Boly To Teri Bat Se Khushbu Aaye ,
TujhKo Dekhon To Meri Aankh Mehak Si Jaye ,
TujhKo Sochon To Khyalaat Se Khushbu Aaye ,
Tu Chambeli Hy’ Nargis Hy K ! Raat Ki Rani ,
TujhKo Chuu Lon To Mere Hath Se Khushbu Aaye”…
♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
No comments:
Post a Comment