Ajjub takazey hain chahatoon k,,Bari kathan ye musaftain hain..Mai jis ki rahoon mai bichh geya hon,,Ussi ko mujh sy shikaytain hain..Shikaytain sub bajaa hain lykin,,Mai kaise us ko yaqeen dilaon..Jo mujh ko jaan sy Aziz-tar hain,,Ussy bhulaon to marr na jaon..Mai iss khamoshi k imtehan mai,,kahan kahan se guzar gyia hoon..Ussy khabar b nhi hy shayad,,mai dhery dhery Bikhar gyia hoon…
Kabi zid mein teray ho gaye,
Kabi dil nay tujhay ganwa dia.
Essi kashmakash mein rahay sada,
Tu nay yaad rakha ya bhula dia.
Kabi baibasi mein hans diye kabi hansi nay hum ko rula dia. kabi phool se rahe dosti
Kabi hath kanton se mila dia.
Kabhi aik ko apna na kr saky
Kabi khud ko sab ka bana dia.
Yun he din guzar gaye payar k,
Kabi ik khawab khud ko bana liya.
Jo khawab ubhray in aankhun me
unhain aankh me he sula dia…
SAD POETRY IN URDU TEXT
Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai
woh mera teri aankhon k samander main uttar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana
teri awaaz k sehar se na nikal paana
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana
bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh k tere saath ka sochoon
bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
k jin se thees utth ti hai k jin se dard hota hai
magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
terey hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai
tou tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna
tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai
LOVE POETRY IN URDU TEXT
Yaadon ne teri mujhko ghafil na hone diya.
Raat phir bohat der tak sone nahi diya.
Dil gham se choor tha aankhen udas thin.
Chahat ne mujhko teri rone nahi diya.
Me manzil ki talash me bohat door tak nikal gaya.
Baton ne teri mujhko phir khone nahi diya.
zakhmi wajood ko lekar kahan jaon me.
Apno ne mujhko apna hone nahi diya.
Kismat me tera mera saath na tha shayad.
Halat ne b mujko tera hone nahi diya
MISS U POETRY IN URDU TEXT
Toot jae na bharam,hont hilaon kese..!
Haal jesa bhi hy,logon ko sunaon kese…!
Khushk ankhon se bhi ashkon ki mahik aati hy
Main tere gham ko zamane se chupaon kese…!
TU hi bata meri yaadon ko bhulane wale…!
Main teri yaad ko is DIL se bhulaon kese.!
Phool hota to tere dar pe sajja bhi rahta
ZAKHM le kar teri dahleez par aon kese…!
Tu rulata hy to rulaa mujhe ji bhar k….!
Teri ankhen hain meri,main in ko rulaon kese.
****************
No comments:
Post a Comment